Friday, October 19, 2012

Yeh mEri kahaani !!


har waqt har lamha kahin uljha sa rehta hoon,
Puchta hai Jab koi toh kuch naa keh paata hoon..

bheed me tanahai me khudko tanha sa pata hoon,
Khudko khudse hi juda kar dena chahta hoon..

saans leta hoon par usse mehsus nahi kar pata hoon,
Iss ghutan se kahin door bhaag jana chahta hoon...




naa umeed nazar aati hai naa wajah samaj paata hoon,
Dil hi rota hai mera khud naa me ashq baha paata hoon...

naakhush hoon khud se yeh baat ache se jaanta hoon,
Par zaahir me isse kahin naa kar paata hoon...


Shayad yeh kahani hai meri kismat nah,
isliye toh khud ko har subah zinda paata hoon...





Tuesday, August 7, 2012

Life meri yeh office ke naam..........

So kar jaag kar aur phir soch kar,
Life meri yeh Office ke naam!!

Aa kar ruk kar aur phir jaa kar,
Life meri yeh Office ke naam!!

Kha kar pi kar aur phir ji kar,                         Life meri yeh Office ke naam!!

kaamkar kar salary lekar aur phir kharchkar kar,
Life meri yeh Office ke naam!!

Shurwatkar kar khatamkar kar aur phir shuru kar,
Life meri yeh Office ke naam!!....



Wednesday, July 25, 2012

Mohabbat !!

Gum ke musafiron ko hansi ka sathi banaya nahi karte,
karke kisi apne ko begana phir se apnaya nahi karte...

Suna hai mila karte hai dil pyar me juda hue nahi karte,
mohabbat ka afsana likhne waale kabhi mara nahi karte...

Karke mohabbat kisi se phir kaafir bana nahi karte,
mile jo zakham kisi se toh woh kabhi bhara nahi karte...

Karte hai log ektarfa ishq bhi par kisi se gila nahi karte,
dil ke zazbaton ko dil me dabakar rakha nahi karte...


Ho jaati hai mohabbat khdud -b-khud kia nahi karte,
aankhon se karke nasha ashq bahaya nahi karte...

Kia karte hai mohabbat dil-o-jahan se karne waale,
pyar ka yeh kissa har kisiko sunaya nahi karte...!!


Kar li mohabbat  tumse ab aur kisi se kar nahi sakte .....

Saturday, June 23, 2012

One Feel One love !!

Uski ek alag si dunia me shayad mera kahin naam nahi,
kehti woh mujse ek baat har baar ishq kerna mera kaam nahi..

Kaise samjhaun usse ibadaat hai ishq koi kaam nahi,
fana hai uski mohabbat me dil mera ye nadaan nahi..

Ghumta phirta hun uske liye par me koi gumraah nahi,paa lunga me usse woh bh iss baat se anjaan nahi..

Chupane ki kosish karti hai par chupa woh paati nahi,ho gaya ishq usse bhi yeh woh batana chahti nahi..

Khush hu issi ahsaas se kyuki yeh bhi toh uski haan se kam nahi, hai woh meri ab iss jahan me kisi parwaah nahi..

Mil gaya woh chaht thi jiski mujhe kisi aur baat ka ab gum nahi,
chala me sang jeene uske kyuki ishq se acha kuch aur mila nahi...!!






Friday, May 25, 2012

Bas Woh



Gum hai woh kahin par phir bhi uski maujdgi ka ahsaas toh hai,
Bata nahi sakta me usse par phir bhi uske pyar ka junon toh hai .

Milegi kabhi na kabhi woh ussi pal ka intezaar toh hai,
Karti hai woh bh mujse pyar bas kehti nah iss baat ka gumaan toh hai.










Kaha nahi hai par kahegi woh iss baat ki raza toh hai,
Khamosh hai jubaan par dil me uthi uski aahat toh hai.

Likhi hai meri kismat bhi khuda ne iss baat ka bharosa toh hai,
phir milegi woh kabhi naa kabhi ussi pal ka intezaar toh hai .....!!




Tuesday, May 1, 2012

Thoda sa main.......

Khudse hi khafa hun main, Kyu itna gumjuda hun main...
Bewajah bhatkata hun main, kyu khudse hi ek shikyat hun main...

Kaun aur kya hun main, kyu khudse hi ek sawaal hun main
khuli aankhein sota hun main, kyu itna adhura hun main...

Sochte nahi thakta hun main, Kyu itna hairan hun main...
Mara nahi zinda hun main, Kyu itna adhura hun main...

Leta hu har ek saans main, Kyu itna bebas hun main...
Naa jaane kisse dhundta hun main, Kyu itna gum hun main...




Khud ka hi ek hissa hun main, haan shayad isliye thoda sa hun main..... !!


Monday, April 30, 2012

Ishq tujse kam toh nahi!!


Bhula me tujhe kabhi ek pal bhi nahi,
beeta teri yaad me har ek pal kisi zindagi se kam nahi..


Tu hai tu hi hai woh bas woh koi aur nahi,
jisse mujhe naa koi gila aur koi shikwa nahi..
                                        
Mili mujhe tu iss jahan me kahin aur nahi,
yeh bhi khuda ki ibadaat se kam nahi..

Hua tere ishq me fanna iss baat se inkaar nahi,
phir bhi dil tere sajde me juka jiski koi wajah nahi..

Kehti hai meri har dhadkan ki me unka nahi,
kaise samjhun unhe me tera hu tera unka nahi..


Rahe hamesha sath tera khwaish hai yeh guzaarish nahi,
kyuki zindagi meri yeh teri hai ab meri nahi ...!!




Thursday, March 29, 2012

Scratches

Jee raha hoon ya phir jeene ka dhong kiye jaa raha hun,
Samajhna nahi chahta ya samaj hi nahi paa raha hun.

Marta nahi kyuki shayad me mohabbat kiye jaa raha hun,
kia tha ishq par lagta hai jaise koi gunaah kiye jaa raha hun.

Baith kar tanha uski yaadon me waqt zindagi ka kam kiye jaa raha hun,
'Woh' kehti hai ki me uska nahi kahkar duriyaan badhye jaa raha hun.

Naa jaane raah par khade hokar kis mod ka intezaar kiye jaa raha hun, 
Paunchunga me kahin ya bas khud ko gumraah kiye jaa raha hun..



Samaj nahi paa raha jee raha hu ya jeene ka dhong kiye jaa raha hun ....!!



Saturday, February 25, 2012

Taraana Mohabbat ka .. !!

Likhne laga tha teri yaad me ek Fard,
ab tere intezaar me ek ghazal kehta hun...

Naa thi teri jaisi koi meri zindagi mein,
Naa hoga mere jaisa koi teri zindagi me.

Khuda ne bakshi thi mohabbat mujhe teri chehre me,
Deedar kar uska me usse apna naa bana paaya.

Aur ishq me gir kar tere me khud ek Fard ho gaya,
kehni thi ghazal aur afsaana mohabbat ka suna gaya ...!!



Saturday, January 7, 2012

khwaish



Aksar do log kahin na kahin mila karte hai, phir baatein karte hai.Milte hai roz aur jaante hai pehchante hai ek-dusre ko. Din be din baton me hansi aur dosti hone ke sath coffe shaamil ho jaati hai. Aur waqt beetata hai aur phir jaise ek dusre ka sath jaruri sa lagne lagta hai, yeh sab koi soch kar nahi karta hai bas ho jata hai. Phir wohi mulkaaton ka silsila badhte badhte zindagi ko mohabbat ke pankh laga deta hai aur insaan parinda bankar udna shruru kar deta hai. Aur parinda ka yeh joda ghonsle me sath rehte hue bohat se sapnay dekhne aur jeene lagta hai aur dekhe bhi kyu naa janab. Zindagi me sapnay dekhne ka haqq toh sabhi ko hai aur pyaar me bane sabhi parindo ki shurwat toh kuch issi tarike se hoti hai.Jab ek dusre ka sath acha lagta hai, jab kisi ka naaraz hona jaayaz lagta hai, jab uski khushi ke liye kuch bhi kerna gawra lagta hai, dost,dunia sab baad me aane lagte hain.Iss waqt tak koi bhi apni zindagi se shikayat nahi karta aur mann hi mann khush ho kar bhagwan ka shukriya ada karta hai aisa sath dene ka. Khair yeh waqt hai badalta toh hai hi aur waqt ka pahiya ghumta hai toh jaruratein bhi badal jaati hai aur jab jaruratein badlegi toh dikkat toh hogi. Yahi toh life ka rule hai janab jo iss waqt me khud ko sambhal aur samjha le woh hamesha udta rehta hai nahi toh na joda rehta hai aur na udd sakte ho.Waqt aur jaruratein badalne ke sath agar insaan khud ko badal le aur ek dusre ko samaj le jeena shayad thoda aasan ho jaayega par jab aisa hota nahi hai toh wohi sath kachotne lagta hai, wohi baatein chidhchidha bana deti hai, wohi naaraz hona aur usse manana ek formality si lagti hai.

 Ek-dusre ke liye kuch karke khushi nahi mehsus hoti hai, zindagi ke aise mod par aakar insaan iss soch me pad jaata hai ki woh jaaye kidhar aage kuch dikh nahi raha aur piche kuch bacha nahi. Khud ko aaene me dekhkar maalum hota hai ki usse apne aapke ke badal jaane se kitni shikayat hai, mann me chalti kashmaskash usse alag hone par majbur kar deti hai aur yeh alag hona usse gwara nahi hai par iske alawa aur koi raasta bhi toh nahi. Aur aakhir me jab insaan apni zindagi ke kuch panne palat kar dekhta hai toh ek hi sawaal mann me ubhar kar aata hai aisa hua kyu aur shayad jiska jawab usse pata hota hai.Issi tarah do log aksar ek-dusre se juda ho jaate hai aur mann me khwaish rah jaati hai dubra naa udne ki...!!